Tuesday, May 25, 2010

sunder he jag maza

sunder he jag maza,,,
gadbadi cha.. dhandlicha,,
aaramat pahudlelya sakalcha..
masti chya sandhyakalcha..
damlelya ratricha..
hotel madhlya jevnacha..
garam waran bhatacha..
weekend chya susticha
monday chya blues cha..

chotya ruswya fugwyancha..
chotya chotya anandancha..
itkulya dukhacha..
dhaga evdya sukhacha..

adhir mahinyachya pagaricha
shant mahinyachya shewtalcha
devawarchya shraddhecha
swapnatlya raksha sancha..

sunder he jag maza..
devane dilela.. bhar bharun jagaycha..
hasat khelat ghalwaycha...

Friday, February 5, 2010

Dont Quit!

Again a poem by anonymous.. But good one :)

When things go wrong as they sometimes will;
When the road you're trudging seems all uphill;
When the funds are low, and the debts are high
And you want to smile, but have to sigh;
When care is pressing you down a bit-
Rest if you must, but do not quit.

Success is failure turned inside out;
The silver tint of the clouds of doubt;
And you can never tell how close you are
It may be near when it seems so far;
So stick to the fight when you're hardest hit-
It's when things go wrong that you must not quit.

"Don't Quit,"

Wednesday, January 27, 2010

Chaitrayani

Baraf se dhake hue parvat, hire sa cham-chamata behte jharne ka pani..
alag alag panchiyon ke sath dhun milata hua us jharne ka kunjan...Suraj ki roshni me Haste khilte phool paudhe..

Aur in haseeen waadiyon me basa ek chotasa gaon.. Chaitrayani... Chaka -choundh aur sheher ke daudte jeevan se koso dur ek sidha sada gaon..

Pehle hi din I fell in love with this village.. and I decided, to stop the tour of 10 days here and spend the rest days in this village in tune with harmony of nature... Forget all tensions, forget all wordly responsibilities and just relax .. no routine.. no work.. just enjoy and live as the heart says..

And I did what I had dreamt for so many years.. I literally forgot the outer world.. I completely mixed myself with this self - contained , untouched beautiful world..

There was no routine... I used to get up when I eyes opened.. and do whatever I wished...

Every day I spent there was beautiful.. But that day was different..

The moment my eyes opened, my inner-self was feeling a sense of excitement and happiness that I never felt before....That day I took bath early... had a break fast from chahcha's tea center and was thinking of what to do.. And suddenly like a flash..my feet started towards the upper mountains.. I was amazed the way my heart was working that day... My brain was stopping me.. but finally it gave up.. coz it knew.. this time.. this place..

only heart would rule...

The path I took was full of different kinds of flora .. I was amazed by the plants I saw.. had never seen them before.. even in parts of Chaitrayani.. where I used to roam usually... I was trying to capture all the beauty I could.. but feeling wasnt enough to capture.. And suddenly, I felt a soft breeze...and a beautiful scent from northern part of road.. I found myself irr-resistable to go.. I went on... And to my surprise, on such a big height.. I found a deep blue lake.. untouched...crystal clear.. .. And on sides of lake.. I found one plant.. Only one plant.. very different than others.. never must have anyone seen that plant..

Purple colored leaves... and diamond like flowers... really.. awsome sight.. I was about to pluck a flower.. when I heard " Babuji... ise todiye mat..100 saalon me ek baar khilta he ye..kismat wale ho aap "

I turned back listening to the sweeet voice and saw .. and kept watching.. I could not believe my eyes...

That moment I understood.. why Poets short fall of words describing a beauty.. why they try to use different

images.. imaginations to describe a beauty..

Truly I was feeling the same... A Beauty!! which cant be described by words...

Fluttering knee length long hair.... Dark black eyes... pearl colored face.. with small but pointed beautiful nose.. and pinkish lips... All only enhancing the beauty of what I saw.. I couldnt just stop looking at that girl..

".. Ye chaitrayani ka paudha he.. Duniya bas isi jagah ye ugta he.. aur 100 salon me ek bar khilta he..

Ye paudha sabko nai dikhta he.... yaha bhi pauche to bhi.. Pata nai aapko kaise dikh gaya... aur wo b phool

khile he tab... aap lucky ho babuji.. bahut lucky .. bas in phool ko kabhi mat todna..!" .. Uski is awaz se mein jaise sapane se bahar aya..

Muze samajh nai aa raha tha ye kya ho raha he.. Kaun jada sunder he.. ye wadiyan.ye phool ya wo phool jaisi ladki.. Main khud ko pinch kiya.. sapne se bahar aane ke liye.. Par wo sapna nai tha.. wo sach mein thi.. mere samane,... Mein uske thoda nazdeek chala gaya.... To wo thoda sehem ke piche hui.. Fir mein shanti se udhar hi ruka aur usse pucha " Ye wadiyan, idhar ke logon ko itna khoobsurat kisne banaya he? .. " ..

Ye sunke wo hasne lagi.. Fir maine use pucha. " Tumhara naam kya he?'..

"Mohini." ..

Me : " Tum yaha pe kya kar rahi ho akeli?"

Mohini : "Babuji.. yahi wadiyan to mera ghar he... "

Me : " ghar itni sunsaan jagah pe? "..

Mohini: " Sunsaan kyu babuji.. ye sabhi to mere sathi he.. Mein wo sunehri pahadi pe rehti hu.."

Me : "Waha pe? kabse ho waha pe?'

Mohini : " janam se babuji... mere pitaaji isi area ke forest officer the.. Unko ye jagah itni pasand ayi..

ki unhone yahi apna ghar bana liya.. "

Me : " Accha.. matlab apne mata -pita ke sath yaha rehti ho !"

Mohini : "aap bahut prashna puchte ho babuji... aapke bare me to bataya hi nai aapne.."

Me : "Aree... mera kya he.. mein to musafir hu.. aaj ye wadiyon me, kal registan me.. .. ye to mera job he..

Re-searcher hu.. pata chala tha.. idhar ke ped paudhe bade alag he.. to unki padhai ke liye aya tha..

socha tha 2 din me dekh ke laut jaunga.. par yaha aya.. aur bas yaha ka jaise ban gaya hu.. kahi aur jaane

ki iccha nai ho rahi he abhi.. aage ka re-search area pura cancel karke soch raha hu bas yahi pe aur kuch din

rahu aur study karu.. "

Mohini: " haan babuji.. in wadiyon me kuch to jadu he.. idhar aane ke baad kisiko wapas jane ki iccha nai hoti he.. "

Me : " jaise tumhare pitaji ko.. he na?"

She nodded... fir ek lambi silence chid gayi.. muze bhi samajh nai raha tha mein kya bolu.. aur use bhi..

Kuch der baad wo boli " Accha babuji.. mein chalti hu.. mere jaane ka waqt aa gaya.. "

Me : "accha thik he.. par kal bhi mein idhar aane wala hu.. Tum aaogi kya ?"...

Mohini: '......mm...."

Uske wo expression se achanak pata chala ki maine ye kya puch liya.. Dil bhi na.. kuch sochta nai he.. bol deta he bas.. Par fir apne aap ko sambhalte hue maine kaha "are bhai.. daro mat.. mein re-searcher hu.. in ajibo garib paudhon par research karne hi to aya hu.. lagta he tumhe bahut kuch pata he in ped-paudhon ke baare me.. to muze ye sab information dogi kya? .."

Mohini ki zizak is explanation se kam ho gayi.. haske boli "aisi baat he babuji.. to thik he.. aapko jo chaiye

information dungi..kal yahi pe milte he fir ".. aur wo zat se mudke zadiyon me kahi kho gayi...

Mein bas dekhta hi reh gaya.. jo ho raha tha uspe yakin nai aa rha tha.. in wadiyon me..ajib paudhon ke bich ek sundar-si ladki.. mein kuch der baitha raha.. fir dhire dhire gaon ki ooar badha.. shaam hone ko thi..

chacha ke tea-center pe chai pi li aur apni room me laut gaya.. pure Chaitrayani me ek hi chotasa hotel tha..

trivedi ji ka... khana bhi aaj maine room pe hi mangaya.. kuch bhi karo wo ladki ka khayal nai jaa raha tha manse.. uske baare me sochte hue hi neend lag gayi...

Subah utha to usse milne ke liye turant nikal pada.... udhar pauncha to koi nai tha..

Lagbhag ek ghanta beet gaya.. Fir yaaad aya.. isi jagah to bulaya tha.. par kab ana he yahi nai bola tha..

fir mein kal ke woh samay ki raah dekhne laga jab wo muzse mili thi..

Finally.. wo samay aa gaya.. I could feel that soft breeze again.. dekha to wo saamne thi..

wohi khoobsurat aankhen .. wohi pearl fair chehra..

" are babuji lagta he aap bahut jaldi aye the yaha.. "

Me : " haan mohini..."

Mohini : " are babuji aapne samay bataya hi nai.. to laga isi waqt aaoge.."

Me : " haan.. par kuch batane se pehle hi kal tum nikal gayi.."

Mohini : "achha chalo.. kal se yahi samay aayenge hum.. aap b isi samay aana. thik he..

ab ye paudhon ki information bhi na babuji bahut jada he.. ek din me to khatam nai hogi..

mein roj apko kuch paudhon ke baare me bataungi ..dikhaungi.. aap note kar lena.."

Me : " Thik he madam.. par aapko ye sab info kaha se mili?"

Mohini : "Babuji.. aap sawal bahut puchteho.. par thik he.. re-searcher ho to sabke jawab to apko chaiye

hi rahenge.. mein yaha pe hi pali badhi hu babuji.. yaha ke logo me reh ke aadhe -adhik paudhon ki jaankari

aise hi mil gayi .. par muze khud b dhundhna bahut accha lagta he.. to maan lijiye adhi info ka maine khud

re-search kia he.. khud se.. aapki tarah.. "

Me : " are waa. ! " aur isse pehle ki mein kuch kehta wo ek paudhe ke paas le gayi.. aur uski khubiyan.. life cycle.. characterstics batane lagi.. mein fata fat uski baton ko note karta gaya...

Is tarah roj chalne laga...hum ek hi samay milte.. wo muze roj naye paudhon ke baare batati.. mein photo leta us paudhe ke.. aur details note karta apni book me..

is tarah se 8 din guzar gaye.. wo area ke lagbagh sare paudhon ke baare me jaankari mere paas thi.. Aathawe din wo boli,

"Babuji... sab paudhon ke baare me maine apko jaankari to de di he.. bas wo ek hi pausha baki he.. diamond jaise phoolon wala.. iski mein apko jaankari to de dungi

magar aap ise duniya ko na bataye.. kyunki ye sirf kismat walon ko dikhta he.. baki koi dekhne aayega to ye thikse dikhega bhi nai..

Kehte he.. ye paudha 100 saal me ek baar bas fulta he.. aur kisi ek saaf dil ke naseebwale ko dikhta he.. uske baad ye fir 100 salon tak nai dikhta he..

aur jise dikh jaye uski kismat ban jati he.. aapko dikha he.... jarur apki jindagi me kuch accha hoga aage chalke.. "

Mein ye sunke hasne laga.."are aisa kaise hoga.. tumhe b to ye paudha dikh raha he.. fir kaise kahogi ki ek ko hi dikhta he?.. aisa kuch nai hota..

dekh abhi mein iski tasver utaar raha hu.. ye paudha to bahut naayab he.. iske baare me to duniya ko pata hona hi chaiye.. ".. aur maine tasveer khich li..

Mohini thodasa sehem gayi.. par fir muskuraake wo chup ho gayi.. pata nahi aaj wo itni khili khili nahi lag rahi hi.. aakhon me ek udasi thi..

Tabhi mere dimag me aya .. are shayad isko ye baat ka to ilm nai he na ki re-search uski he aur paper mere naam se chapegi?

Maine turant usko bola " Mohini.. tumhe itna sab pata he.. aur tumne muze wo sab kuch bata diya.... Main chahta hu ki ye paper tumhare naam se chape..

Botanical Chapter walon ko b pata hona chaiye.. ki itni behtareen re-searcher unke paas he.."

Mohini boli .. " Nahi babuji... ye paper aapke naam se hi chaape.. mein bahar ki duniya mein nai aa sakti.. ana bhi nai chaiye muze..

Chaitrayani ke pedse muze pata chala.. ki apko ye legacy batani chaiye.. kyunki apka dil saaf he.. aur aap is heritage ko acchese jatan karoge..

maine apni jaagir apko de di he.. mera gyaan.. ab ye gyaan kabhi loopt nahi hoga.. isko acchese aage badhana babuji..."

Muze uski baaten bahut ajeeb lagi.. aur man me ek seesak aa gayi.. samajh nai aa raha tha.. dil bhari ho raha tha.. shayad uska bhi..

fir b apne aap ko jahir na karte hue maine use haske bola.. "are tum to aise baat kar rahi ho jaise hum kabhi milenge nahi....

are dino baad hum dost to ban hi gaye hein.. kya tum muze apne ghar nai le jaogi? "

Sunke Mohini boli "kyu nahi babuji.. chaliye.. chaitrayni mein kabhi kisi mehmaan ki iccha ko taala nahi jata.. chaliye.. chaliye.. humare garib khane me.."

Mein uske sath nikal pada.. Sunehari pahadi par ek chotasa ghar tha.. bada hi saaf -suthra hasta hua ghar..

Par kisi insaan ki awaz nai aa rahi thi. Maine use pucha "are tumhare mata -pita kaha he? "..

Wo boli " are babuji wo kuch dino ke liye gaon gaye he.. isliye aaj ghar pe koi nai he.."

Me : " Tumhe akeli rehne ka dar nai lagta? "

Mohini : "Mein akeli kaha hu babuji.. ye chaitrayani hein mere sath..."

Usne acchisi chai banayi.. wo leke mein nikalne ka soch raha tha kyunki kaafi shaam ho chuki thi par use akeli sun-saan pahadi par chodne ka man nai kar raha tha..

Maine use bola " Mohini.. aaj ek kaam karte he.. tum abhi mere sath Chaitrayani gaon me chalo.. Trivedi ji se baat karke mein tumhare rehne ka intazaam kar dunga.

tumhe akeli chodh ke jane ka man nai kar raha he.. waise b lagta he tum bahut dino se gaon nai gayi ho.."

Mohini achanak bol padi "Nahi!! mein nahi aa sakti babuji.. pls aap chale jaiye.."

Mein chouk gaya.. Fir shant hote hue usne kaha.. " Nahi babuji.. aaj mere mom aur dad aa rahe he.. wo kabhi bhi aa sakte he.. to mera yaha rukna jaruri he..

aap chinta na kijiye... mein thik hu.. salon se yaha rehti hu.. kuch nai hoga muze.."

Me:"thik he Mohini.. mein chalta hu.. par kal aaogi na milne? "

Mohini : "babuji.. sab pedo ki jaankari to de di.. ab kis liye milna.. ?"

Mere paas jawab nai tha.. haan kyu milna? kyu muze isse milne ki iccha hoti he itni? Meine kaha " are sirf kaam ke liye milna thodi na hota he..

tum dost ho meri.. mera itna help kiya he tumne.. .. muze tumhe chotisi treat deni he.. "

Wo bas muskura di.. Dil me ek baar fir sisak jaag uthi.. dil bhari ho gaya.. 2 mins ke liye mein use dekhta hi raha..

fir use kaha "alvida pyaare dost.. " aur bina mud ke dekhe nikal pada.. pata nai kyu maine piche mud ke nai dekha... pata nai kyu..

ghar chalte hue mein soch raha tha.. are mein b kya bewakuf hu.. aisa kyu soch raha hu.. kal wapas milunga use.. lake ke udhar nai ayi to

uske ghar jaake use milunga.. dost he wo meri.. kal uske mata pita se b milke unse puch ke use chaitrayani me party ke liye le jaunga..

aur fir udhar se use ghar chodke Delhi ke liye nikal padunga.. Aur jab paper chapegi.. to use wapas wo paper leke milne aaunga..

bataunga use ki uski chaitrayani aur wo khud kitna famous ban gayi he.. " .. Man me sapne dekhte hue mein rom pe paucha. aur waise hi so gaya..

Jabse Mohini se mila tha.. mere man use milne ke siwa aur kuch nai hota tha.. subah se use milne ki raah dekhta tha.. ab samjha tha muze mere man

bhari hone ka karan.. shayad mein usse pyaar karne laga tha.. aur kal use chodd ke jana tha.. isliye shayad..

par fir maine dil ko behlaya.. ki kal use man ki baat bata denge.. aur wapas aaunga to uske mom-dad se haat maang lunga uska..

yahi sapne bunte hue mein so gaya..

Dusre din aankh thodi der se khuli.. Chacha darwaza khat khata rahe the.. Meine darwaza khol diya.. to wo chai leke aye..

Chahcha :"Kya beta pichle 8 din se dekh raha hu.. tu itna khoya khoya rehta he.. kuch baat b nai ki tune 8 dino se.. kuch taklif to nai he na beta..?"

Ekdam se meri aankh khul gayi.. are haa.. 8 dino mein maine kisise baat nahi ki.. chacha se nahi..trivedi ji se nai.. kyaa mein bhi..

Maine kaha " kuch nahi chahcha ji .. wo main upar wali pahadon pe jata tha 8 din.. wo forest officer wale chacha ji he na sunehari pahadi wale..

unki beti mili thi muze pehle din... wo yaha ke ped-paudhon ke baare me kafi jaanti he.. to usse thode notes le raha tha.. mere paper ke kaam ayenge.."

maine socha chachaji ko pata hi rahenge ye log kyunki itna chotasa to tha chaitrayni.. sabko sabki jaankari to rahegi..

"Kyaa?? kya kaha beta tumne??" Chachaji ekdam sehem ki chilla pade..

"Forest officer ki beti??" ...

"kyu kya hua chachaji.. ?"

"beta wo forest officer mein hi hu... !!!"

"kyaaa??? .. par aap to gaon gaye the na? aur fir mohini un pahadi pe kyun akeli? "

"Beta!!.. kya tumne Mohini ko dekha?? "..

"Haan chachaji... pichle 8 din se mein usse roj milta hu... aapke sunehri pahad wale ghar b gaya tha mein shaam ko.."

"beta wo ghar to salon pehle hi maine band kar diya he..!! .. tum kaise jaa sakte ho waha?"

"par chachaji.. mohini hi muze leke gayi thi.."

"beta mohini kaise le jaa sakti he tumhe.. use gujare hue to 15 saal ho gaye hein abhi.."

"KYA????? .. kyaa baat kar rahe he chachaji aap.. please aap aisa mazak na kijiye.. mein kal shaam hi use milke aya hu.. uske haath ki banayi chai pike.."

"Beta,.mein sach bolta hu.. meri phool jaisi bacchi ko gujre hue 15 saal ho gaye hein.. gaon me kisise b puch lena.. "

"par ye kaise mumkin hein. mein to use roj milta hu..ye dekhiye mere notes..

aapko kyaa lagta he.. ye paudhon ki jaankari hawa se ayi kya?.. usne sab kuch bataya.. tabhi to mein ye sab kuch likh paya.. Aap chaliye mere sath..

mein milwata hu apko usse.. wo lake ke paas hi rahegi.. nai to ghar pe.. chaliye"

Chachaji rone lag gaye.. " nai beta. ye mumkin nai he.. ruk.. mein tuze uski photo dikhata hu".. aur uski photo nikali unhone aur muze dikhayi..

... "kya tum isise mile the?". ..

"haan chachaji.. aap chaliye.. mein aaj hi usse milwata hu apko.. chaliye."

chachaji aur mein lake ki oar nikal pade.. hum udhar pauche to wohi samay hua tha.. jab mohini roj muze milne aati thi.. wo kabhi 1 min bhi late nai hoti thi..

muze yakin tha wo ayegi.. hum udhar ruke rahe.. 1 ghanta ho gaya.. par wo nahi ayi.. fir muze laga .. shayad wo ghar pe rahegi.. maine chachaji se kaha

"chaliyye chachaji.. shayad wo ghar pe rahegi.. kal use akela chod ke muze nai ana chaiye tha.. pata nai uski shayad tabiyat kharab ho gayi hogi.."

chachaji kuch bhi nai bole... itne mein muze w diamond jaise phoolon wale paudhe ka dhyaan aya.. aur mein chachaji ko waha le gaya..

"chachaji.. ye diamond wale phool ke paudhe ke baare me mohini kuch ajeeb hi bol rahi thi.. keh rahi thi.. sirf ek hi insaan ko dikhta he 100 salon me..

paagal he.. ab mein apko dikhata hu.. use batayenge,, aisa kuch nai hota he,.. sab dant kathayein hoti hein.. "

hum waha pauche.. dekha to.. waha pe paudha tha. par rang hara tha.. aur phool bilkool nai the.. maine puri jagah chaan mari.. par aur kahi paudha nai tha..

us paudhe ke baju me maine ek pattharon se deign banaya tha.. wo design waisa hi tha..par paudha alag tha..

Chachaji bol pade " beta.. kya wo paudha purple colored leaves ka tha? aur uspe diamond jaise flowers the? " .

"haan chachaji.."

"beta meri mohini ne tumse sach hi kaha tha.. mein itna khus naseeb nai hu... mein idhar har mahine ata hu.. par muze kabhi nai dikha..

tu kismat wala he beta.. bahut kismat wala.."

ab muze kuch samajh nai aa raha tha.. ye kyaa ho raha tha.. chachaji aise ajeebo garib baaten kyu kar rahe the.. kyu pagalon jaise keh rahe the

ki mohini 15 salo pehle mar gayi he... kuch samajh nai aa raha tha.. maine unse kaha " chaliye babuji.. kuch nai. mohini ne idhar se paudhe ko hatake

kahi aur lagaya hoga.. apni baat ko sach sawid karne ke liye.. apke ghar pe chalte he.. wohi uski khabar lete he.."

chachaji ne kuch nai bola.. wo jaante the ki udhar koi nai hoga.. par Malhar ki shanka ka samadhan karne ke liye wo uske sath chalte gaye..

Wo sunehari pahadi par paunch gaye.. par kal wala wo saaf-suthra ghar aaj khandar lag raha tha.."

Mein sehem gaya.. mohini ko awaz dene laga.. par koi nai aya.. mera sir chakra raha tha.. mein udhar hi baith gaya..

chachaji mere paas aake baith gaye.. bole "beta.. tumhe pehle yakin nai ho raha tha.. par ye sach he.. mohini ko gujre hue 15 saal beet gaye he.."

"kaise chachaji? kya hua tha use? aur fir wo muze roj kaise mil rahi thi?"

"beta..tumhe sab batata hu..mein forest officer tha..par ye area mein aane ke baad muze ye wadiyan itni acchi lagi maine apni naukri chodd di.. aur

idhar apna ghar bana liya... bada sukun milta tha muze yaha pe.. rojgaar ke liye maine idhar chai ki dukaan daal di.. naukri jitna nai.. par jeene

ke liye kaafi paisa milta tha.. waise b muze paison se lagaw nai tha.. to mein khushi se rehne laga apne pariwar ke sath idhar..

kuch dino baad hume ek beti hui.. wo itni sunder thi ki jo use dekhta dekhta hi rehta.. hume laga prakriti ne hume in wadiyon se man se pyaar karne

ka taufa diya he.. humne uska naam sabko mohit karne wali "mohini" rakha.. meri bacchi thi hi itni sunder.. sirf dikhne me nai.. man se bhi..

jaise badhti gayi.. maine use apni forest knowledge se bahut kuch sikhaya.. aage aage use isme itna interest aane laga. wo khud jaake paudhon me

ghul milke unke baare me sikhti gayi.... yaha school nahi thi.. par maine use sab kuch padhaya.. wo sharp thi. padhti chali gayi..

Ek din use purple leaved paudha mila.. tab bhi uspe phool khile the.. thik 15 saal pehle.. tab wo phool pichle khilne ke baad 100 we saal me khile the..

isbar pichle khilne ke baad 15 we saal me hi khil gaye the.. ab agle 85 warshon tak kamse kam ye phool nai khilenge.. uske baad wale 100 salon me

kab khilenge pata nai.... Wo dekhte hi reh gayi wo phoolon ko.. shayad wo ye 100 salon ki sabse lucky insaan banane wali thi...

wo deserve bhi karti thi... par shayad niyati ko ye manjur nahi tha... usne galati se uska phool tod liya.. aur.. aur.. "

"aur kya chachaji??"

"kehte he ye chaitrayani ka sabse alag paudha he.. isise in wadion ko chaitrayani naam mila he..

kehte he ye paudha puri chaitrayani ki raksha karta he.. aur 100 salon me ek baar khile phool ek nasib wale ko dikhte he.. jo in wadiyon ko sacche

dil se chahte he.. in wadiyon ki raksha karna chahte he.. use aur khoobsurat banana chahte he..

bas jise dikhe.. usne uske phool nahi todne hote he.. nai to.. mrityu.......!!" muze in paudhon ke baare me idhar ke adivasi logo

se pata chal gaya tha.. par muze mazak laga tha.. isliye maine mohini ko is type ke paudhe ke baare mekuch b nahi bataya tha..

yahi meri galati hui... wo saaf dil thi.. isliye use wo paudha dikh gaya.. par use pata nai tha.. meri bacchi ne phool tod diye..

aur dusre hi din wo itni bimar hui ki kabhi uth nahi payi.. uski maut hum bardasht nai kar paye.. isliye pahadi wala makaan humne chodd diya..

aur hum yaha niche rehne chale aye.."

ab achanak muze yaad aya.. wo pehli mulakaat.. jab mein wo phool todne hi wala tha..

aur usne kaha tha.." Babuji... ise todiye mat..100 saalon me ek baar khilta he ye..kismat wale ho aap "

"Ise todiye mat.. " .."ise todiye mat.." Muze bachane ke liye.. wo ayi thi shayad....

maine apni pehli mulakaat ke baare me chacha ji ko bataya..

Chachaji ne kaha " haan beta.. shayad wo chahti thi ki uski tarah koi aur badnaseeb na ho.... wo teri madat ke liye aa gayi..

waise beta in wadiyon ko man se chahne ke liye dhanyawad.. iska fal tumhe jarur milega.. ab jao.. aur pura paper publish kar dena..

bas is paudhe ke baare me kabhi mat likhna.. kabhi mat likhna.."

Maine apni puri packing kar li.. aur chaitrayani se nikal pada...

Delhi jaake maine paper publish kiya, mere naam se.. jaise mohini ki iccha thi...

muze wo paper se bahut publicity mili..mera naam botanical duniya me ahem ban gaya..

Aur mein aage se bahut mashoor ho gaya... Us paper ke baad mein kai aur jagahon par gaya.. kai re-search kiye.. par chaitrayani jaisa sukoon

muze kainahi mila..

Par uske baad mein kabhi Chaitrayani nahi gaya... pata nahi kyu.. par kabhi udhar wapas jane ki himmat nai hui..

Bas.. ab Mohini ki ek hi yaad mere paas he..uski tasveer.. aur wo khali photo jisme maine wo chaitrayani ke paudhe ki tasveer kichi thi..

Friday, January 22, 2010

Be Thankful...

A poem by some-one anonymous.. But real beautiful poem

Be thankful that you don't already have everything you desire.

If you did, what would there be to look forward to?

Be thankful when you don't know something,
For it gives you the opportunity to learn.

Be thankful for the difficult times,
During those times you grow.

Be thankful for your limitations,
Because they give you opportunities for improvement.

Be thankful for each new challenge,
Because it will build your strength and character.

Be thankful for your mistakes,
They will teach you valuable lessons.

Be thankful when you're tired and weary,
Because it means you've made a difference.

It's easy to be thankful for the good things.
A life of rich fulfillment comes to those
Who are also thankful for the setbacks.
Gratitude can turn a negative into a positive.
Find a way to be thankful for your troubles,
And they can become your blessings.